Wo Dushman-e-Jaan, Jan Se Pyara Bhi Kabhi Tha
Ab Kis Se Kahen, Koi Hamara Bhi Kabhi Tha
Utra Hai Rag-o-Pee Main To Dil Katt Sa Giya Hai
Ye Zehar Judai Ka Gawara Bhi Kabhi Tha
Ab Agle Zamane Ke Milen Log To Pochen
Jo Hall Hamara Hai, Tumhara Bhi Kabhi Tha?
Har Dost Jahan Abar-e-Gurezaan Ki Tarha Hai
Ye Shehar Yehi Shehar, Hamara Bhi Kabhi Tha
Har Bazam Main Hum Ne Use Afsorda Hi Dekha
Kehte Hain Faraz Anjuman-e-Araa Bhi Kabhi Tha
Ahmad Faraz
0 comments:
Post a Comment