Friday 31 January 2014

Nakam Ishq Hon, Tu Mera Dekhna Bhi Dekh

Nakam Ishq Hon, To Mera Dekhna Bhi Dekh



Nakam Ishq Hon, To Mera Dekhna Bhi Dekh
Kam Dekhta Hon, Aur Ghazab Dekhta Hon

Wo Dushman-e-Jaan, Jan Se Payara Bhi Kabhi Tha

Wo Dushman-e-Jaan, Jan Se Pyara Bhi Kabhi Tha


Wo Dushman-e-Jaan, Jan Se Pyara Bhi Kabhi Tha
Ab Kis Se Kahen, Koi Hamara Bhi Kabhi Tha

Utra Hai Rag-o-Pee Main To Dil Katt Sa Giya Hai
Ye Zehar Judai Ka Gawara Bhi Kabhi Tha

Ab Agle Zamane Ke Milen Log To Pochen
Jo Hall Hamara Hai, Tumhara Bhi Kabhi Tha?

Har Dost Jahan Abar-e-Gurezaan Ki Tarha Hai
Ye Shehar Yehi Shehar, Hamara Bhi Kabhi Tha

Har Bazam Main Hum Ne Use Afsorda Hi Dekha
Kehte Hain Faraz Anjuman-e-Araa Bhi Kabhi Tha

Ahmad Faraz

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz