Friday 14 February 2014

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah...


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah...
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah...

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yoon Laga...
Pyassi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Badal Ki Tarah...

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga-uon Gaa...
Sar-e-Sham He Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah...

Mere He Dil Ka Makeen Nikla Wo Shakhs “Wasi”...
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah...


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Wasi Shah

Love Poetry Wasi Shah
Urdu Poetry Wasi Shah

Apne Hothon Par Sajana Chahta Hoon


Apne Hothon Par Sajana Chahta Hoon 


Apne Hothon Par Sajana Chahta Hoon
Aa Tujhe Mein Gun-Gunana Chahta Hon

Koi Aansoo Tere Daman Par Gira Kar
Boondh Ko Moti Banana Chahta Hon

Thak Gaya Mein Karte Karte Yaad Tujhko
Abh Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hon

Jo Bana Baa-yyes Meri Nakamiyon Ka
Mein Usi Ke Kaam Ana Chahta Hon

Chah Raha Hai Sari Basti Per Andhera
Roshni Ko Ghar Jalana Chahta Hon

Phool Se Paiker To Nikle Be-Murawat
Mein Pathron Ko Azmaana Chahta Hon

Akhri Hichhki Tere Zaano Pey Aaye
Maut Bhi Mein Shayiraana Chahta Hon

Reh Gayi Thi Kuch Kami Ruswaiyoon Mein
Phir "Qateel" Us Darr Pe Jana Chahta Hon


Qateel Shifai


Apne Hothon Par Sajana Chahta Hoon lyrics 

Qateel Shifai


Thursday 13 February 2014

Ajab Khal-o-Khadd The

Ajab Khal-o-Khadd The


Ajab Khal-o-Khadd The
Sitara Si Ankhen
Sharara Se Labb
Aur Sahiffa Sa Chehra
Badan...Ek Chaman Sa
Chaal....Bad-e-Saba
Baat...Khushboo
Muhabbat....Buhat Gehri Asoodgi Fasl-e-Gull Ki
Magr Aaj Wo Khad-o-khaal Dekh Kar Sochtaa Hon
Ke Meri Basaarat Ko Paat Jharr Ki Tanhai Ne Kha Liya Hai 




Love Poetry, Romantic Nazam, Nazam, 

Kahin ISHQ ki Dekhi Ibtida

Kahin ISHQ ki Dekhi Ibtida



Kahin ISHQ ki Dekhi Ibtida
Kahin ISHQ ki Dekhi Intiha

Kahin ISHQ  Sooli pe Charh gya
Kahin ISHQ ka Nezy pe Sir gya

Kahin ISHQ Sajdy me gir gya
Kahin ISHQ Sajdy se phir gya

Kahin ISHQ Dars-e-wafa bana
Kahin ISHQ Husn-e-ada bana

Kahin ISHQ Ne Sanp se Daswa dia
Kahin ISHQ Ne Namaz ko Qaza kia

Kahin ISHQ Saif-e- Khuda bana
Kahin ISHQ Sher-e-Khuda bana

Kahin ISHQ Toor pe deedar hai
Kahin ISHQ Zibah ko tayar hai

Kahin ISHQ Ne behka dia
Kahin ISHQ Ne Shah-e-Misr bana dia

Kahin ISHQ Ankhon ka Noor hai
Kahin ISHQ Koh-e-Toor hai

Kahin ISHQ tu hi tu howa
kahin ISHQ ALLAH HOO howa....

Samandar Sary Sharab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty,

Samandar Sary Sharab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty


Samandar Sary Sharab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty
Gunah Na Hoty Sawab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty 

Kisi Ke DiL Mein Kya Chupa Hy Bus Khuda Hi Janta Hy 
DiL Agar Be-Naqab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty

Thi Khamoshi Fitrat Hamari Jo Chand Barson Bhi Nibh Gayi Hy 
Agar Hamary Moun Mein Jawab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty

Hum Achy Thay Par Sada Logon Ki Nazar Mein Bury Rahy
Kahen Hum Such Men Kharab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty.....


Romantic Poetry, Romantic Nazam, Urdu Poetry,

Kia Sarokar Hamen Ronaq-e-Bazar Ke Sath

Kia Sarokar Hamen Ronaq-e-Bazar Ke Sath


Kia Sarokar Hamen Ronaq-e-Bazar Ke Sath
Hum Alag Bethe Hain Dast-e-Hunar Asaar Ke Sath

Ae Mere Dost.!! Zara Dekh Main Hara To Nahi
Mera Sarr Bhi To Para Hai Meri Dastaar ke sath

Waqt Ye Khud Hi Batye Ga Ke Main Zinda Hon
Kab Wo Marta hai Jo Zinda Rahe Kirdar Ke Sath

Na Koi Khandaaan Balb Hai Na Koi Giryaa Konaan
Tera Dewana Para Hai Teri Dewaar Ke Sath

Chashme Numnaak Liye Seena Sadd Chaak Liye
Door Tak Hum Bhi Gaye Apne Khareedar Ke Sath

Koi Nuqtee Se Lagata Chala Jata Hai Faqat
Daiyree Khenchtaa Jata Hon Main Harkaar Ke Sath

Ranjish Kar-e-Zeyaan Dar-badrii Tanhai
Aur Dunya Bhi Khafa Tere Gunehgar Ke Sath

"Saad" Ruswai Zamana Hai Magar Tera Hai
Youn Nahi Hote Khafa Apne Giraftar Ke Sath

Saad


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho

Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 
Ae Jaan-e-Jahaan Ye Koi Tum Sa Hai Ke Tum Ho 

Yeh Khwaab Hai, Khushbo Hai Ke, Jhonka Hai ke, Pal Hai 
Yeh Dhund Hai, Baadal Hai, Ke Saayaa Hai, Ke Tum Ho 

Is Deed Ki Sahaat Main Kai Rang Hain Larzaan 
Mein Hoon Ke Koi Aur Hai Duniya Hai Ke Tum Ho 

Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhen Hain Ke Meri 
Dekhoon Yeh Kisi Aur Ka chehra Hai Ke Tum Ho 

Yeh Umr-e-Gurezaan Kahin Thehre To Yeh Jaanoon 
Har Saans Main Mujh Ko Yehi lagta Hai Ke Tum Ho 

Har Bazm Main Mauzoo-e-Sukhan Dil Zadgaan Ka 
Ab Koun Hai Shireen Hai Ke Laila Hai Ke Tum Ho 

Ek Dard Ka Phaila Howa Sahara Hai Ke Mein Hon 
Ek Mouj Main Aaya Howa Dariya Hai Ke Tum Ho 

Woh Waqt Na Aaiye Ke Dil-e-Zaar Bhi Soche 
is Shehar Main Tanha Koi Hum Sa Hai Ke Tum Ho 

Aabaad Hum Aashufta Saron Se Nahi Maqtal 
Yeh Rasm abhi Shehar Main Zinda Hai Ke Tum Ho 

Ae Jaan-e-"Faraz" itni Bhi Taufeeq Kise Thi 
Hum Ko Ghum-e-Hasti Bhi Gawaara Hai Ke Tum Ho 

Ahmad Faraz


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 
Ahmed Faraz

Ek Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon

Ek Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon


Ek Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon
Ek Melay Main Pohncha Hmakta Howa
Je Machalta Tha Ek Ek Shay Par Magar
Jaib Khali The Kuch Moal Lay Na Saka
Laut Aya Leay Hasratain Saink-roon
Ek Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon

Khair Mehroomion Ke Wo Din To Gaye
Aaj Mela Laga Hai Usi Shan Say
Aj Chahoon To Ek Ek Dukaan Mol Lon
Aj Chahoon To Sara Jahan Mol Lon
Naar-Sai Ka Ab Ji Main Dharka Kahan
Par Wo Chhota Sa, Alhar Sa Larka Kahan?

Ibn e Inshaa


Phire reh se wo yahan aate aate

Phire reh se wo yahan aate aate


Phire reh se wo yahan aate aate
Ajal Mar Gayi Tu Kahan aate aate

Mujhe Yad Karne Se Ye Mudd-aa Tha
Nikal Jaye Dum HichkiyaaN aate aate

Na Janaa Ke Duniya Se Jata Hai Koi
Bahut Dair Ki Meharbaan aate aate

Kalejaa Mere Munh Ko Ayega Ek Din
Yon Hi Lab Pe Aaho Fughaan aate aate

Sunane Ke Qaabil Jo Thi bat Unko
Wahi Rah Gayi Darmyaan aate aate

Daagh Dehlvi


Phire reh se wo yahan aate aate, Daagh Dehlvi Urdu Poetry, Daagh Dehlvi Urdu Shairi,

Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale

Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale


Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale
Ye Naale Nahi Be-asar Jaane Wale

Muhabbat Mein Hum To Jiye Hain Jiyenge
Wo Honge Koi Aur Mar Jaane Wale

Mere Dil Ki Be-tabiyaan Bhi Liye Jaa
Dabe Paaon Mounh Pher Kar Jaane Wale

Nahin Jaante Kuch, Ke Jaana Kahaan Hai
Chale Jaa Rahe Hain Magar Jaane Wale

Tere Ek Ishare Pe Sakit Khadde Hain
Nahi Keh Ke Sab Se Guzar Jaane Wale

Jo Jaage Subah Ko To Laddte Hain Mujh Se
Ke The Kon Tum Khowaab Me Aane Wale

Jigar Muradabadi


Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale
jigar muradabadi

Dil Ishq Mein Be-Payan, Sauda Ho Tu Aisa Ho

Dil Ishq Mein Be-Payan, Sauda Ho Tu Aisa Ho



Dil Ishq Mein Be-Payan, Sauda Ho Tu Aisa Ho
Dariya Ho Tu Aisa Ho, Sehra Ho Tu Aisa Ho..

Ham Sey Nahi Rishta Bhi , Hum Se Nahi Milta Bhi 
Hai PasS Wo Betha Bhi, Dhoka Ho Tu Aisa Ho ... 

Woh Bhi Raha Begana, Hum Ne Bhi Na Pehchana 
Han Ae Dil-E-Deewana , Apna Ho Tu Aisa Ho ... 

Hum Ne Yahi Manga Tha, Os Ne Yehi Bukhsha Hai
Banda Ho Tu Aisa Ho, Data Ho Tu Aisa Ho ... 

Is Daur Main Kya Kya Hai, Ruswaai Bhi Lazzat Bhi 
Kaanta Ho Tu Aisa Ho , Chubhta Ho Tu Aisa Ho ... 

Ae Qais-e-Janoon Paishaa Insha Ko Kabhi Dekha 
Wehshi Ho Tu Aisa Ho , Ruswaa Ho Tu Aisa Ho ....



Dil Ishq Mein Be-Payan, Sauda Ho Tu Aisa Ho
Ibn-e-Insha


Main Khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai

Main Khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai


Main Khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai
Sar-e-ayina mera aks hai, pas-e-ayina koi aur hai..

Main kisi ke dast-e-talab mein hon, to kisi ke harf-e-dowa mein hon
Main Naseeb Hon Kisi Aur Ka, Mujhe Mangta Koi Aur Hai..

Kabhi LauT Aayein To Na Pochna, Sirf Dekhna Bare Ghour Se
Jinhen Raste Mein Khabar howi, Ye Ye Rasata Koi Aur Hai..

Ajab Aitbar-o-Be-Aitbari Ke Darmiyan Hai Zindagi
Main Qareeb Hon Kisi Aur Ke, Mujhe Janta Koi Aur Hai.. 

Wahi Mun-si-foon Ki Rivayatein, Wahi Faisalon Ki Ibaratein
Mera Jurm To Koi Aur Tha, Par Meri Saza Koi Aur Hai..

Teri Roshni Mere Khad-o-Khal se muKhtalif to nahi magar
Tu Qareeb Aa Tujhe Dekh Lon, Tu Wahi Hai Ya Koi Aur Hai..

Jo Meri Riyazat-e-Neem-Shab Ko "Saleem" Subh Na Mil Saki
To Phir Is Ke Maani To Ye Huwe, Ke Yahan Khuda Koi Aur Hai.....

Saleem Kausar


In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain Lyrics

In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain




In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain

Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain

Ek sirf humi mai ko aankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain

Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain



In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain Lyrics
umrao jaan 1981

Justajoo jis ki thi us ko to naa paayaa hum ne Lyrics

Justajoo jis ki thi us ko to naa paayaa hum ne



Justajoo jis ki thi us ko to naa paayaa hum ne
Is bahaane se magar dekh li duniyaan hum ne

Tuz ko rusawaa naa kiyaa, khud bhi pashemaan n huye
Ishk ki rasm ko, is tarah nibhaayaa hum ne

Kab mili thi, kahaa bichhadi thi, humei yaad nahi
Jindagi tuz ko to bas khwaab mein dekhaa hum ne

Aye adaa aaur sunaaye bhi to kyaa haal apanaa
Umar kaa lanbaa safar, tay kiyaa tanahaa hum ne


Justajoo jis ki thi us ko to naa paayaa hum ne Lyrics

umrao jaan 1981

Sunday 9 February 2014

Crossing the Bar

Crossing the Bar


Crossing the Bar...!!!

Sunset and evening star,
  And one clear call for me!
And may there be no moaning of the bar,
  When I put out to sea,

But such a tide as moving seems asleep,
    Too full for sound and foam,
When that which drew from out the boundless deep,
    Turns again home.

Twilight and evening bell,
And after that the dark!
And may there be no sadness of farewell,
    When I embark,

For tho, from out our bourne of Time and Place
    The flood may bear me far
I hope to see my Pilot face to face
    When I have crost the bar..


Classical English Poetry By

Alfred Lord Tennyson

Crossing the Bar

Saturday 8 February 2014

Pa Ranra Bandi Mayan Yam

Pa Ranra Bandi Mayan Yam

Ghani Baba

Pa Ranra Bandi Mayan Yam
Da Tiyroo Na, Na Yare Gham
Za Khpeman Paa Gunah Na Yaam
Khu Pay Na Ghaweera Kegam
Paroon Thukham Om Nan Gul Yaam
Saba Bia Ba Khura Kigam
Za Da Baad Yawa Chapa Yaam
Da Sahra Pa Bagh Tayree Gam
Cha Pa Lara Ki Saaa Rashii
Ka Tayra Way Ka Ranra Way
Za Ranra Ki Yam Khushaal
Da Tiyroo Na Yarigam
Khu Za Zam Pa Makha Zama
Ka Odrigama Rokigam

Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho lyrics

Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho lyrics



Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Kya Gham Hai Jis Ko Chupa Rahe Ho


Aankhon Mein Nami Hansi Labon Par
Kya Hal Hai Kya Dekha Rahe Ho
Kya Gham Hai Jis Ko Chupa Rahe Ho
Tum Itna Kyon Muskura Rahe Ho


Ban Jayenge Zeher Peete Peete
Ye Ashkk Jo Peete Ja Rahe Ho

Jin Zakhmoon Ko Waqt Bhar Chala Hai
Tum Kyon Unhen Chede Ja Rahe Ho
Kya Gham Hai Jis Ko Chupa Rahe Ho
Tum Itna Kyon Muskura Rahe Ho

Rekhaon Ka khel Hai Muqaddar
Rekhaon Se Mat Kha Rahe Ho

Tum Itna Jo Muskura......

Arth 1982

Kaifi Azmi

Yahi Tohfa Hai Yahi Nazrana

Yahi Tohfa Hai Yahi Nazrana

Kaifi Azmi



Yahi Tohfa Hai Yahi Nazrana
Main Jo Aawara Nazar Laya Hun
Rang Mein Tere Milane Ke liye, 
Qatara-e-Khoon-e-Jigar Laya Hun
Ae Gulaboon Ke Vatan, 
Pehle Kab Aaya Hun Kuch Yaad Nahi
Lekin Aaya Tha Qasam Khata Hun , 
Phool To Phool Hain Kantoon Pe Tere
Apne Hontoon Ke Nishaan Pata Hun
Mere Khwabon Ke Vatan
Choom Lene De Mujhe Hath Apne
Jin Se Todi Hain Kai Zanjeren
Tone Badala Hai Mashiyat Ka Mizaaj
Tone Likhi Hain Nai Taqderen
Inqalabon Ke Vatan
Phool Ke Bad Naye Phul Khileen
Kabhi Khaali Na Ho Daman Tera
Roshni Roshni Teri rahen
Chandani Chandani Aangan Tera
Mohatabon Ke Vatan

Aawara By
Kaifi Azmi

Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Aurat

Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe


Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe
Qalb-e-Mahool Mein Larzaann Sharar-e-Jang Hain Aj
Hously Waqt Ke Aur Zeest Ke Yak-rang Hain Aj
Aab-geenon Mein Tapaan Walwale-e-Sang Hain Aj
Hussn Aur Ishq Ham Aawaaz-o-Hum-ahang Hain Aj
Jis Mein Jalta hon Usi Aag Mein Jalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Zindagi jahd Mein hai, Sabar ke Qaboo meN nahiN
nabz e hasti ke lahu kaanpte aansoo Mein Nahin
Udne khule Mein Hai Nakhat, Kham-e-Gesoo Mein Nahin
Jannat Ek Aur Hai Jo Mard Ke Pahlu Mein Nahin
Us Ki Aazad Ravish Par Bhi Machalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Qadar Abtak Teri Tareekh Ne Jani Hi Nahin
tujh Mein Sholay Bhi Hain Bas Ashk Fashani Hi Nahin
Tu Haqeqat Bhi Hai Dilchasp Kahani Hi Nahin
Teri Hasti Bhi Hai Ek Cheez Jawani Hi Nahin
Apni Tareekh Ka Unwaan Badalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Todd Kar Rasm Ke But Band-e-Qadamat Se Nikal
zoof-e-Ishrat Se Nikal Vaham-e-Nazakat Se Nikal
Nafs Ke Kheenche Howe Halqa-e-Azmat Se Nikal
Qaid Ban Jaye Mohabbat To Mohabbat Se Nikal
Raah Ka Khaar Hi Kya Gul Bhi Kuchalna Hai Tujhe
 Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Todd Ye Aazm Shikan Silsila-e-Pand Bhi Todd
Teri Khatir Hai Jo Zanjeer Wo Saugand Bhi Todd
Tooq Ye Bhi Hai Zamma-rud Ka Gulu-Band Bhi Todd
Todd Paimana-e-Mardan-e-Khiradmand Bhi Todd
Ban Ke Tufaan Chalakna Hai Ubalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Tu Falatoon-o-Arastu Hai To Zohra Parveen
Tere Qabze Mein Hai Gardoon Teri Thokar Mein Zameen
Han Utha Jald Utha Paa-e-Muqadar Se Jabeen
Main Bhi Rukne Ka Nahin, Waqt Bhi Rukne Ka Nahin
Ladd-Khada-Yegi Kahan Tak Ke Sanbhalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe


Kaifi Azmi

Dasht e tanhai Mein

Dasht e tanhai Mein 



Dasht e tanhai Mein 
Aye Jaan e Jahan Larzaan Hai 
Teri Aawaz Ke Saaye 
Tere Honton Ke Seraab 

Dasht e  tanhai Mein 
Doori Ke Khas-o-khaak Taley
Khil Rahe Hain Tere Pehlu Ke Saman Aur Gulab 

Uth Rahi Hai Kahen Qurbat Se 
Teri Saans Ki Aanch 
Apni Khushboo Se Sulaghti Howe 
Maddham, Maddham... 
Door Ufaq Paar Chamakti Howi 
Qatra Qatra... 
Girr Rahi Hai Teri Dildaar Nazar Ki Shabnam 

Is Qadar Pyaar Se 
Aye Jaan e Jahan Rakkha Hai 
Dil Ke Rukhsaar Pe Is Waqt 
Teri Yaad Ne Hath 
Yunh Ghumaan Hota Hai 
Garje Hai Abhi Subh-e-firaaq 
Dhal Gaya Hijr Ka Din Aaa Bhi Gayi Wasl-ki-raat 

Bhari Mehfil Main Tujhe Dekhte Rahe Kisi Ko Shakk Bhi Na howa



Bhari Mehfil Main Tujhe Dekhte Rahe Kisi Ko Shakk Bhi Na howa

Tera Jate Howe Mur Mur Kar Dekhna Mujhe Badnam Kar Giya


Betaabi-e-Mohabbat, Waja-e-Sukoon-e-Gham Hai

Betaabi-e-Mohabbat, Waja-e-Sukoon-e-Gham Hai


Betaabi-e-Mohabbat, Waja-e-Sukoon-e-Gham Hai
Aaghosh-e-Muztarab Main Khawabida Hain Baalain

Aashaar Ban Ke Nikleen Jo Seena Jigar Se
Sab Hussan-e-Yaar Ki Theen, Be-Sakhta Adaain





Hai Mere Gird Kassrat-e-Shehar-e-Jafa Parast

Hai Mere Gird Kassrat-e-Shehar-e-Jafa Parast



Hai Mere Gird Kassrat-e-Shehar-e-Jafa Parast
Tanha Hon, Is Liye Hon Main Ana Parast

Sehan-e-Bahar Gull Main Kuff-e-Gull Farosh Hai
Shaam-o-Wasaal Yar Main Dast-e-Hina Parast

Tha Ibtadaye Shoq Main Aram-e-Jaan buhat
Par Hum The Apni Dhun Main Buhat Ana Parast

Baam-e-Buland-Yar Pe Khamoshiyaan Si Hain
Is Waqt Wo Kahan Hai Wo Yaar-e-Hawa Parast

Gumrahiyon Ka Shikwaa Na kar Ab To Ae "Munir"
Tohi Tha Yahan Sb Se Rehnuma Parast





Aarzooye Bahar Laa-Hasil,


Aarzooye Bahar Laa-Hasil
Ishq Naa Paidar Na-Hasil

Qaid Fitrat Main Hai To Hai Parwane
Tera Hona Nisaar La-Hasil

Be-shifaat Agar Burooon Ke Liye
Naikiyon Ka Shamar La-Hasil

Dil Dunya Hai Sang-e-Mar Mar Ka
Laakh Karlo pukar La-Hasil

Shair O Gul Main Dhale Asad lamhe
Kab Raha Intzar La-Hasil



Wo Firaaq Aur Wo Wesaal Kahan

Wo Firaaq Aur Wo Wesaal Kahan


Wo Firaaq Aur Wo Wesaal Kahan
Wo Shab-o-Roz Mah-o-Saal Kahan

Fursat-e-Karbor-e-Shooq Kese
Zouq-e-Nizare Jamal Kahan

Dil To Dil Wo Damag Bhi Na Raha
Shoor-e-Sodaye Khat-o-Khaal Kahan

Thi Wo Ek Shaks Ke Tasawar Se
Ab Wo Ranaai Khayal Kahan

Asaa Asaan Nahi Lahoo Rona
Dil Main Taqat, Jigar main haal Kahan

Hum Se Choota Kammar Khana Ishq
Waan Jo Javee Girah Main Maal Kahan

Fikar-e-Dunya Main Sar Khapata Hon 
Main Kahan Aur Ye Wabaal Kahan

Muzmahal Hogaye Qawaa "Ghalib"
Wo Anaasir Main Aetdaal Kahan



Main Ghuttaa Ja Raha Hon Dhere Dhere

Main Ghuttaa Ja Raha Hon Dhere Dhere


Main Ghuttaa Ja Raha Hon Dhere Dhere
Mujhe Us Ki Kami Khane Lagi hai

2 lines poetry, shairi,

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aye Kun

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aye Kun



Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aye Kun
Royeen Ge Hum Hazar Bar, Koi Hamen Sataye Kun

Dair Nahi Jurm Nahi, Dar Nahi Astaaan Nahi
Bethe Hain Rah-guzar Pe Hum, Koi Hamen Uthaye Kun

Jab Wo Jamal Dil-frooz  Sorat-e-Mehar Neem Rooz
Ap Hi Ho Nazara Soz, ParDey Main Moun Chupaye Kun

Dishnaan Gumzada Jaaan Sataan Navak-e-Naaz Hai Bepanah
Tera Hi Aks-e-rukh Sahi Samne Tere Aye Kun


Qaid Hayat-o-Band Ghum Asal Main Dono Ek Hain
Mout Se Pehle Admi Ghum Se Najat Pai Kun

Hussan Aur Us Pe Hussan-e-Zann, Reh Gai Bwol-hawas Ki Sharam
Apne Pe Atmaad hai Itna Geer Ko Azmai Kun

Wah Wo Guror Azoo Naz, Yaan Ye Hijab Pass Waza
Raah Main HumMile Kahan Bazam Wo Bulaye Kun

Han Wo Nahi Khuda Parast, Jao Wo Bewafa Sahi
Jis Ko Ho Deen-o-Dil Aziz Uski gali Main Jai Kun

"Ghalib" Khasta Ke Bageer Konse Kam Band Hain
Royiee Zar ZarKia, Kijiye Haye Haye Kun,





Dil Pe Heerat Ne Ajab Rung Jama Rakha Hai Hamd Naat

Hamd Naat

Dil Pe Heerat Ne Ajab Rung Jama Rakha Hai


Dil Pe Heerat Ne Ajab Rung Jama Rakha Hai
Ek Uljhi Howi TAsveer Bana Rakha Hai

Kuch Samajh Main Nahi Ata Ke Ye Chakar Kia Hai
Khel Kia Tum Ne Ye Azal Se Racha Rakha Hai

Rooh Ko Jism Ke Pinjre Ka Bana Kar Qaidi 
Is Pe Phir Mout Ka Pehra Betha Rakha Hai

Dee Kar Tadbeer Ke Punchi Ko Urane Tum Ne
Daam-e-Taqdeer Bhi Har Simt Bicha Rakha Hai

Kar Ke Araishen Koneen Ki Barson Tum Ne
Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai

Laa-Makani Ka Behar haal Hai Dawa Bhi Tumhen
Nuhno Aqarb Ka Bhi Peegam Suna Rakha Hai

Ye Burai, Wo Bhalai, Ye Jahanum Wo Bahesht,
Us Ulat Pheer Main Farmao To Kia Rakhha Hai

Jurm Admiyon Ne Kia Aur Saza Beeton ko
Adal-o-Insaaf Ka Meyaar Bhi Kia Rakha Hai

Dee Kar Insan Ko Dunya Main Khelafat Apni
Ek Tamasha Sa Zamane Main Bana Rakha Hai

Apni Pehchan Ki Khatir Banaya hai Sb Ko
Sab Ki Nazroo Se Magar Khud Ko Bhi Bacha Rakha Hai





Hamd-e-Bari Tala


Friday 7 February 2014

Us ne Phool Bheje Hain,

Us ne Phool Bheje Hain,


Us ne Phool Bheje Hain,
 Phir Meri Ayadat Ko,
 Ek Ek Patti Main,
 Un Laboon Ki Narmi Hai,
 Un Jameel Hathon Ki,
 Khush-gawar Hiddat Hai,
 Un Lateef Sansoon Ki,
 Dilnawaz Khushbo Ki,
 Dil Main Phool Khilte Hain,
 Rooh Main Charagah hain,
 Zindagi Mutaar Hai,
 Phir Bhi Dil Ye Kehta Hai,
 Bat Kuch Bana Leta,
 Waqt Ke Khazane Se, 
Ek Pal Chura Leta, Kash WO Khud Ajata...

Parveen Shakir



Hum Jo Gaate Chale Gaye Honge

Hum Jo Gate Chale Gaye Hon Ge


Hum Jo Gaate Chale Gaye Honge
Zakham Khate Chale Gaye Hon ge

Tha Sittam Bar Bar Ka Milna
Log Bhate Chale Gaye Hon Ge

Door Talak Baagh Uski Yaadoon Ke
LehLahate Chale Gaye Hon Ge

Dasht Ashaftagi Main Khak Basar
Khaak Urrate Chale Gaye Hon Ge

Fikar Apne Sharabiyon Ki Na Kar
Larkharate Chale Gaye Hon Ge

Hum Khud Azar The, Soo Logo Ko
Azmate Chale Gaye Hon Ge

Hum Jo Dunya Se Tang Ayen Hain
Tang Ate Chale Gaye Hon Ge

John Elia







Ishq Main Naam Kar Gaye Hoon Ge

Ishq Main Naam Kar Gaye Hoon Ge


Ishq Main Naam Kar Gaye Hoon Ge
Joo Tere Gum Main Mar Gaye Hon Ge

Ab Wo Nazreen Idhar Nahi Uthti
Hum Nazar Se Utar Gaye Hoon Gaye Hon Ge

Kuch Fizaaon Main Intshaar Sa Hai
Un Ke Geesoo Bikhar Gaye Hon Ge

Noor Bikhraa Hai Raah Guzaroon Main
Wo Idhar Se Guzar Gaye Hon Ge

Mekadee MAin Bazam Janaan Tak
Aur "Jalib" Kidhar Gaye Hon Ge





Mujhe Khud Apni Nahi Uss ki Fikar La-Haq Hai

Mujhe Khud Apni Nahi Uss ki Fikar La-Haq Hai



Mujhe Khud Apni Nahi Uss ki Fikar La-Haq Hai
Bicharne Wala Bhi Mujh Saa Hi Be-Sahara Tha

2 lines poetry, shairi,

Gaye Dino Ka Suraag Le Kar Kidhar Se Aya Kidhar Giya Wo

Gaye Dino Ka Suraag Le Kar Kidhar Se Aya Kidhar Giya Wo


Shehar Yaroo Ke Ghazab Se Nahi Darte Yaroo

Shehar Yaroo Ke Ghazab Se Nahi Darte Yaroo


Shehar Yaroo Ke Ghazab Se Nahi Darte Yaroo
Hum Asoolon Ki Tajjarat  Nahi Darte Yaroo

Khoon-e-Hassrat Hi Sahi, Khon-e-Tamana Hi Sahi
In Kharaboon Main Koi Rung To Bharte Yaroo

Phir To Har Khaak Nasheen Arshe Bareen Par Hota
Sirf Aahoon Se Muqaddar Jo Sanwarte Yaroo

Sooliyan Jhoom Ke Hoti Hain Hum Agoosh-e-Jahan
Kaash Hum Bhi inhi Raastoo Se Guzarte Yaroo

Sar Kahin, Sar Pe Sajai Howi Dastaar Kahin
Zindagi Ke Liye Youn Bhi Nahi Marte Yaroo

Chand Taskheer Kia, Qalb Na Taskheer Kia
Is Jazeerey Main Bhi Ikk Bar Utarte Yaroo


Na Hota Aqal Ka Jhagra Na Hote Kher-o-Sharr Paida

Hafiz Basar

Na Hota Aqal Ka Jhagra Na Hote Kher-o-Sharr Paida
Agr Dunya Main Kar Deta Khuda Sare Hi Khurr Paida

Yaqeen Kese Na Aye Jins-e-Insaan Ke Badalne Ka 
Chunne Howe The MAin Ne Hogai Mattar Paida

Kabhi London Kabhi Bharat Kabhi America Ho Aon
Wazarat Do To Karlon Ga Khud Hi Asbab Paida

Biggar Ke MAin Ek Korri Ka Na Reh Jata MAin Bachpan MAin
Pettai Ko Na Hote Garr Mere Madir-e-Piddar Paida

Kitaaben Sar Par Rakh Kar Nachta Phirta Classon Main
Agar Hota Na Mere Sar Pe Zalim Master Paida

NAhi Shetaaniat Ka Ek Thekedar Sheetan Hi
Howe Hain Us KE Senkroon Chele Jin-o-Bashaar Paida

Puhanch Jata Naha Khanoo Main Bhi Chukpe Se Ye Urr Ke
Agar Insaan Ke Hojate Parindo Ke Se Par Paida

Meri Shaadi Karane MAin Sabhi Ahbaab Hain Koshaan
Magar Main Hon Gurezan Dil Main Hain Khof-o-Khattar Paida

Chuppa Kar Moun Nikal Jao Kahin Jungle Beyabaan MAin
Kamane Ka Jahan Jhanjhat Ho Na Bivi Ka Darr Paida

Kaha Nozaida Munna Dekha Kar Mujhe Bivi Ne
Barri Mushkil Se Hota Hai, Chamman Main Dedawar Paida

Janam Din Pe Mere Har Saal Matam Hota Rehta hai
Muharram Ki  Novii (9) Thi Jab Howa Tha Ye Basarr Paida

Hafeez Bassar 

Main To Khuda Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho

Main To Khuda Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho.??




Main To Khuda Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho.??
Har Lamha "Laa" Ke Sath Hon,  Tum Kis Ke Sath Ho.??

Mujh Ko Baqay-e-Eesh-e-Tohham Nahi Qubool
Main To Fana Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Hoo??

Main Hoon Bhi Ya Nahi Hon, Ajab Hai Mera Azaab
Har Lamha "Yaa" Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Hoo??

Main Hoon Gubaar-e-Jadaah Bood-o-Nabood Ka
Yaani Hawa Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Hoo??

Tum Bhi To Aj Mujh Se Karo Kuch Sukhann Ke Main
Naffi Anaa Ke Sath Hon,  Tum Kis Ke Sath Ho.?

Mausam Mera Koi Bhi Nahi Iss Zameen Main
Abb-o-Hawa Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho.?

John Elia

Tuesday 4 February 2014

Dil Yeh Bhi Chahta Hai Hijjraan Ke Mausamon Main

Dil Yeh Bhi Chahta Hai Hijjraan Ke Mausamon Main


Dil ye bhi chahta hai ke hijjraan ke mausmon main
kuch qurbaton ki baten hum door paar bhejen

dil ye bhi chahta hai ke un pholoon se laboon ko
dast-e-saba pe rakh kar shabnam ka haar bheje

Dil yeh bhi chahta hai us jan-e-shairi ko
kuch shair apne chunn kar ek shahkaar bhejen

dil ye bhi chahta hai sb bhaid chahtoon ke
har muslehat bhula kar be-ikhtyar bhejen

dil yeh bhi chahta hai pardy main hum-sukhan ke
dewangi ki baten dewana war bhejen

dil ye bhi chahta hai jab be-asar ho sb kuch
tujh ko bana ke qasid ae yaad-e-yaar bhejen

dil ye bhi chahta hai ya chup ka zehar pee leen
ya phir daaman-o-greebaan hum tar tar bhejen

dil jo bhi chahta hon lekin "Faraz" socho
Hum tooq-e-ashhnaai kese utaar bhejen




Saari Dunya Ke Gum Hamare Hain

Saari Dunya Ke Gum Hamare By John Elia



Saari Dunya Ke Gum Hamare Hain
Aur Sitam Ye Ke Hum Tumhare Hain

Dil-e-Barbad Ye Khayal Rahe
Us Ne Geesuo Nahi Sanware Hain

Un Rafeeqon Se Sharam Ati Hai
Jo Mera Sath Dy Ke Hare hain

Aur Tu Hum Ne Kya Kia Ab Talak.??
Yeh Kia Hai Ke Din guzare hain

Us Gaali Se Jo Ho Ke Aye hoon
Ab To Wo Rah-roo Bhi Pyare hain

"John" Hum Zindagi Ki Rahon Main
Apni Tanha Ravvi Ke Mare hain....

John Elia 

Vegan Ka Safar By Asad Jaffri

Vegan Ka Sadaf  By Asad Jaffri 


Sunday 2 February 2014

Is Taraf Bhi Karam Ae Rashk-e-Shehanshaa Karna


Is Taraf Bhi Karam Ae Rashk-e-Shehanshaa Karna,

Wo Ke Jo Rakhta Hai Adhaa Nan Khane Ke Liye

Wo Jo Rakhta Hai Adha Naan Khane Ke Liye


Wo Jo Rakhta Hai Adha Naan Khane Ke Liye
Aur Ek Kaatiya Bhi Hai Sar Ko Chupane Ke Liye
Wo Na Khadim Hai Kisi Ka Aur Na Makhdoom Hai
Qabil-e-Rashk-o-Muhabbat Hai Zamane Ke Liye

Shairro Dard Likhte Raho

Shairro Dard Likhte Raho

Youn Hi To Nahi Ishq Main Sar-Mast Howi Main

Youn Hi To Nahi Ishqq Main Sar-Mast Howi Main



Youn Hi To Nahi Ishqq Main Sar-Mast Howi Main

Ek Rooh Meri Rooh Main Tehleel Howi Hai

Main Kitni Waraftgi Se Usko Suna Raha Tha

Main Kitni Waraftgi Se Usko Suna Raha Tha

Musafat Dil Ki Thi Soo Jadah Mushkil Passand Aya


Musafat Dil Ki Thi Soo Jadah Mushkil Passand Aya



Tere khushboo mein base khat main jalata kaise

Tere khushboo mein base khat main jalata kaise


Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Pyaar mein dube huye khat main jalata kaise
Tere haathon ke likhe khat main jalata kaise

Tune duniya ki nigahon se jo bach kar likhe
Saal ha saal mere naam baraabar likhe
Kabhi din mein toh kabhi raat ko uthkar likhe

Jinaka har lafz mujhe yaad tha paani ki tarah
Yaad the mujh ko jo paigaame Zubani ki tarah
Mujh ko pyaare the jo anmol nishaani ke tarah
Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Pyaar mein dube huye khat main jalata kaise
Tere haathon ke likhe khat main jalata kaise

Tere khat aaj main ganga mein baha Aya Hon
Aag behte huye paani mein laga aaya hoon 

Leela Mere Peeche Hai To Lubna Mere Age

Leela Mere Peeche Hai To Lubna Mere Age


Leela Mere Peeche Hai To Lubna Mere Age
Hota hai Shab-o-Roz Hi Jhagra Mere Age

Kal Jis Ne Rachai Thi Bari Dhoom Se Shaadi
Rota Hai Ab Din Rat Wo Dulha Mere Age

Tezi Se Main Garri Bhala Kese Guzaron
Khothaa Mere Piche hai To Rikshaw Mere Age

Kia Mausam-e-Barsat Hai Kehne Laga Waiz
Ae-Kassh..! Koi Le Aye Halwa Mere Age

Cheen Kar Le-Gaye Mobile Mera Din Dahare
Har Chandd Ke Tha Kent Ka Thana Mere Age

Kismat Ne Dekhaye Hain Abhi Din ko Hi Tare
Ata Hai Abhi Dekhiye Kia Kia Mere Age

Chakoon Se Main Ghalib Chura Deta Hon Chakeee
Bowling Jo Karaye Koi Khabba Mere Age






Chithi Na Koi Sandesh

Chithi Na Koi Sandesh

Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye

Is Dil Pe Lagaa Ke Thes
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye...

Ek Aah Bharee Hogi
Humne Na Sunee Hogi
Jaate Jaate Tumne
Aawaz To Di Hogi
Har Waqt Yehi Hai Gham
Us Waqt Kahan The Hum
Kahan Tum Chale Gaye

Har Cheez Pe Ashkoon Se
Likha Hai Tumhara Naam
Ye Raste Ghar Galiyaan
Tumhe Kar Na Sakee Salaam
Hai Dil Mein Reh Gayee Baat
Jaldi Se Chuda Kar Haath
Kahan Tum Chale Gaye

Abh Yaadon Ke Kaante
Is Dil Mein Chubhte Hain
Na Dard Thaherta Hai
Na Aansoon Rukte Hain
Tumhe Dhoondh Raha Hai Pyaar
Hum Kaise Karein Iqraar
Ke Haan Tum Chale Gaye

Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye...

Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga

Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga


Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga,
Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga,

Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj,
Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga,

Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay,
Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga,

Uski galyon mein hamay koi nahi pehchanay ga,
Koi tana koi dashman nahi ay ga,

Dil k darwazay per dastak nahi de ga,
Koi nama koi paigham nahi ay ga,

Umr bhar matam mein shehr-e-tamana ho ga,
Neend to ay gi aram nahi ay ga,

Magar ae bad-e-saba us se ja kr kehna,
Is kahani mein abkoi nam nahi ay ga

Mujay awaz de laina

Mujay awaz de laina



Mujay awaz de laina

Kabi jab ankh chalke to
Kabi jab dil na sambhle to
Mujay awaz de laina

Kabi jab dur ho koi
Bohat majbur ho koi
Koi awaz na day to
Mujay awaz de laina

Koi ansu na ponche to
Koi hansnay se roke to
Koi tum ko sataye to
Mujay awaz de laina

Kabi jab din na guzray to
Kabi jab raat tarpaye
Kabi din mei andhera ho
Mujay awaz de laina

Main tere passhota hon
Main teresath rehta hun
Mgr phir bhi guzarish hai
Mujay awaz day laina

meri hasrat k janazy ko uthany waly

meri hasrat k janazy ko uthany waly


meri hasrat k janazy ko uthany waly,
kitny bedard hain yeh loag zamany waly,

koi apna nahi matlab ki hai yeh dunya sari,
ab kahan milty hain woh yar purany waly,

main dua go hon sada nendain mubarik tum ko,
hijar ka dard dy k muj ko jagany waly,

bus yeh he soch kar har bar manata hon usy,
loat k aaty hain kahan rooth k jany waly,

un k dil main kabhi jhank ker dekho to sahi Saqi,
kitny afsurda hain auron ko hansany waly,

Baat Kuch Din Ki Hai Mausam Tu Badal Jane Dy

Bat Kuch Din Ki Hai Mausam To Badal Jai Ga




Bat Kuch Din Ki Hai Mausam To Badal Jai Ga
Teri Ankhon Ke Liye Khawaab Nayee Laon Ga

2 Lines Poetry, Shairi

Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha

Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha


Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha,
Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha,

Yaad karta hu kahan bhool k aya hu usay,
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha,

Baat kia thi ye mujhe achi tarah yaad nahi,
Haan aap ka zikr b tha aur bari tafseel se tha,

Koi pegham tha ankhon mein so ankhon mein raha,
Masla asal to paigham ki tarseel mein tha,

Is naye nuskhe mein takhreef hui hai warna,
Zikr mera bhi kahin pyar ki injeel mein tha

Mosam-e-hijar k lamhaat koi kiya janay

Mosam-e-hijar k lamhaat koi kiya janay


Mosam-e-hijar k lamhaat koi kiya janay
Kya guzarti hai meray sath ko kiya janay,

Doriyon me bhi tere sath marasim hen woi,
Roz hoti hai mulaqat koi kiya janay,

Log hansti hui ankhon pe yaqeen rakhtay hain,
Mere ansuu mere jazbat koi kiya janay,

Ek tu hai jisay malum hen sari batain,
Shab-e-hijran mere halat koi kiya janay,

Koi kiya janay k khamoshiyan kia kehti hain,
Aay Dhani teri ankhon k sawalat koi kiya janay





Mosam-e-hijar k lamhaat koi kiya janay
Dhani, 

Shaadi Ke Bad Shair Howe Hain Kamal Ke

Shaadi Ke Bad Shair Howe Hain Kamal Ke



Shaadi Ke Bad Shair Howe Hain Kamal Ke
Urdu Darust Hogai Begum Ko Paal Ke
Moun Dho Ke Pehli Bar Jo Ayi Wo Samne
Matlab Samajh Giya Main Urooj-o-Zawaal Ka

Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din

Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din



Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din
Lagta nahi tha us ka dil mere bin

Dosto se kaha karta tha wo b,
Kiya ye b ji sakta hai mere bin

Mazaq ban jaya karta tha jo Doston mein
khud ko tanha samjta tha wo mere bin

Isse hade diwangi kahoon ya pagalpan
tasawar me wo batein kiya karta tha mere bin

Wo mosmoon k badlny se darta nahi tha lekin
bahar mein murjhaya karta tha mere bin

Ab As tot gain uske aani ki
Lagta hai Jina sekh chuka hai mere bin

Koi tumse poche kaun hoon main

Koi tumse poche kaun hoon main


Koi tumse poche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek Rishta hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Jazbaat ko dhampe hai ek parda,
bas Hai Ek bahana accha sa.

Jeevan ka aisa saathi hai,
Jo door Na ho ke pass nahin.
Koi tumse poche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
Shakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.

Koi tumse poche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.....

Barsaat ke mausam main lyrics

Barsaat ke mausam main Najaiz Movie Lyric

Barsaat ke mausam main
tanhai ke aalam main
main ghar sey nikal aaya
botal bhi utha laaya
abhi zinda hoon to jee leney jee leney do
bhari barsaat main pee leney do

mujhey tukado main nahi jeena hai
katra katra toh nahi peena hai
aaj paimaaney hata do yaaron
saara maikhana peela do yaaro
maikadon main to piya karta hoon 
chalti rahon main bhi pee leney do
abhi zinda hoon to jee leney jee leney do
bhari barsaat main pee leney do

mere dushman hai zamaney key gham
baad peeney ke yeh hongey kam
zulm duniya key na seh paoonga
bin piye aaj na reh paaonga
mujhe haalat sey takraana hai
aise haalat main pee leney do
abhi zinda hoon to jee leney jee leney do
bhari barsaat main pee leney do

aaj ki shaam badi bojhal hai
aaj ki raat badi kaatil hai
aaj ki shaam dhalega kaise
aaj ki raat kategi kaise
aag sey aag bujhegi dil ki
mujhey yeh aag bhi pee leney do

abhi zinda hoon to jee leney jee leney do
bhari barsaat main pee leney do

Ankhon Ka Hai Faraib Ya Aks Jamal Hai

Ankhon Ka Hai Faraib Ya Aks Jamal Hai


Ankhoon Ka Hai Fareeb Ya Aks-e-Jamaal Hai
Ati Hai Kun Nazar Teri Soorat Jaga Jaga

Hai jo lahu mera, behta chala



Hai jo lahu mera, behta chala
Dekho junoon mera, kehta chala
Khaabon ka tha makaan jo dehta chala
Bezubaan kab se main raha
Begunaah sehta main rahaa 
Khwabon ka tere qissa hoon
Tera hi toh main hissa hoon
Mujhko na kar yun juda

Meri jagah teri nigaahon mein
Ho na ho, main chala hun raahon
Jo ladkhada gaya kahin
Toh aaoge tum hi toh
Thaamoge tum hi toh
Phir berukhi.. kyun hai mujhse
Kyu aise bhala ho mujhse khafa

Junoonn Ki Yaad Manao Ke Jashan Ka Din Hai

Junoonn Ki Yaad Manao Ke Jashan Ka Din Hai

Junoonn Ki Yaad Manao Ke Jashan Ka Din Hai
Saleeb-o-Daar Sajao Ke Jashan Ka Din Hai

Tarb Ki Bazam Hai BAdlo Diloon Ke Perahan
Jigar Ke Chaak Silao Ke Jashan Ka Din hai

Tanak Mizaj Hai Saaqi Na Rang-e-Mee Dekho
Bhare Jo Sheesha, Charhao Ke Jashan Ka Din Hai

Tameez-e-Rehbar-o-Rehzan Karo Na Aaj Ke Din
Har Ek Se Hath Milao Ke Jashan Ka Din  Hai

Hai Intzaar-e-Malamat Main Nasahoo Ka Hajoom
Nazar Sambhal Ke Jao Ke Jashan Ka Din Hai

Wo Shorash-e-Gum Dil Jis Ke Liye Nahi Koi
Ghazal Ki Dhunn Main Sunao Ke Jashan Ka Din Hai

Faiz Ahmad Faiz

Ek Jism Main Ek Admi Hota Nahi Janab

Ek Jism Main Ek Admi Hota Nahi Janab



Ek Jism Main EK Admi Hota Nahi Janab
Har Shakhs, Shakhsiyat Hai Mehsoos To Karo

Saturday 1 February 2014

Jan Qurban Karon Us Rukh-e-Zeba Pe Naseer

Jan Qurban Karon Us Rukh-e-Zeba Pe Naseer



Jan Qurbazn Karon Us Rukh-e-Zeba Pe "Naseer"
EK Jhalak Muj Ko Jo Nazar Aye Jo Ate Jate

Main Ne Ek Shakhs Ke Tajasus Main

Main Ne Ek Shakhs Ke Tajasus Main


Main Ne Ek Shakhs Ke Tajasus Main
Jane Kis Kis Se Rabta Rakhaa

2 lines poetry, shairi

Is Qadar Pyar Se Ae Jan-e-Jahan Rakha Hai Faiz Ahmad Faiz

Is Qadar Pyar Se Ae Jan-e-Jahan Rakha Hai




Is Qadar Pyar Se Ae Jan-e-Jahan Rakha Hai
Dil Ke Rukhsaar Pee Is Waqt Teri Yaad Ne Hath

Faiz Ahmad Faiz

Ashk tarr Qatra-e-Khoon Lakht-e-Jigar Para Dil

Ashk tarr Qatra Khoon Lakht-e-Jigar Para Dil   


Ashk Tar Qatra-e-Khoon Lakht-e-Jigar Yaraan Dil
Ek Se Ek Adad Ankh Se Behtar Nikla

Hum Jo Insanoo Ki Tehzeeb Liye Phirte Hain

Hum Jo Insano Ki Tehzeeb Liye Phirte Hain



Hum Jo Insano Ki Tehzeeb Liye Phirte Hain

Hum Saa Wehshi Koi Jungle Ke Darindoo Main Nahi

Zindagi Mujh Se Mere Hisse Ka Sadqa Mange

Zindagi Mujh Se Mere Hisse Ka Sadma Mange


Zindagi Mujh Se Mere Hisse Ka Sadma Mange

Gum Se Be-Lag Jo Masroor Raha Barsoo Talak

Zindagi Aj Wahi Phool Sa Chehra Mange

Dhoop Uktai Howi Phirti Hai Sarkoon Sarkoon

Mera Kamraa Hai Ke Barsoo Se Saweera Mange

Chasham-dar Chashm Sasakte Howe Jazboo Ka Jamood

Yaakh Zada Jism Bharakta Howa Shaulaa Mange

Ae Shab-e-Dast Gum-e-Yaar Kahin Se To Jhalak

Dard Ka Asmaan Sirf Ek Sitara Mange....

Meri Dastaan-e-Hasrat Wo Suna Suna Kar Roye

Meri Dastaan-e-Hasrat Wo Suna Suna Kar Roye


Meri Dastaan-e-Heerat Wo Suna Suna Ke Roye
Mere Azmane Wale Mujhe Azmaa Ke Roye

Koi Asaa Ahl-e-Dil Ho Ke Fasana-e-Muhabbat
Main Use Suna Ke Rowoon Wo Mujhe Suna Ke Rowe

Meri Arzoo Ki Dunya, Dil-e-Natwaa Ki Hassrat
Jise Kho Ke Shamshad The Use Aaj Paa Ke Roye

Teri Be-Wafaiyoon Par, Teri Kuj Adaiyoon Par
Kabhi Sar Jhuka Ke Roye, Kabhi Moun Chupa Ke Roye 

Jo Sunai Anjuman Main Shab-e-Gum Ki Ap Beti
Kaai Roo Ke Muskuraye, Kai Muskura Ke Roye

Yeh Khamoshi Jo Ab Ke Guftgu Ke Beech Thehri Hai

Yeh Khamoshi Jo Ab Ke Guftgu Ke Beech Thehri Hai



Ye Khamoshi Jo Ab Ke Guftogu Ke Bech Thehri Hai
Yehi Ek Bat Sari Guftogu Main Sab Se Gehri Hai

Tu Ke Na Waqif-e-Adabe Shehanshai Thi

Tu Ke Na Waqif-e-Adabe Shehanshai Thi 


Tu Ke Na Waqif Hai Adab-e-Shehnshai Thi
Raqs Zanjeer Pehan Kar Bhi Kia Jata Hai

Tujh Ko Inkaar Ki Jurat Jo Howi To Kun Kar
Saya-e-Shah Main Istarah Jiya Jata Hai

Ahl-e-Sarwat Ki Yeh Tajveez Hai, Sar-Kash Larki
Tujh Ko Darbar Main Korron Se Nachaya Jai

Nachte Nachte Jo Hojai Payal Khamosh
Phir Na Ta-Zeest Tujhe Hosh Main Laya Jai

 Log Is Manzar Jankaah Ko Jab Dekhen Ge
Aur Barh Jai Ga Kuch Sitwat-e-Shahi Ka Jalal

Tere Anjam Se Har Shaks Ko Ibrat Hogi
Sar Uthane Ka Raaya Ko Na Aye Ga Khayal

Taba-e-Shahana Ye Jo Log Giraan Hote Hain
Haan..! inhen Zehar Bhara Jaam Diya Jata Hai

Tu Ke Na Waqif Hai Adab-e-Shehnshai Thi
Raqs Zanjeer Pehan Kar Bhi Kia Jata Hai

Habib Jalib

Raqs Kia Kabhi Shorr Machaya Pehli Pehli Barish Main

Raqas Kia Kabhi Shor Machaya Pehli Pehli Barish Main



Raqas Kia Kabhi Shor Machaya Pehli Pehli Barish Main
Main Tha Mera Pagal Pan Tha Pehli Pehli Barish Main

Ek Akela Main Hi Ghar Main Khofzada Sa Betha Tha
Warna Shehar To Bheg Raha Tha Pehli Pehli Barish Main


Ane Wale Sabz Dino Ki Sab Shadabi Us Se Pehle
Ankhon Ne Jo Manzar Dekha Pehle Pehle Barish Main

Shaam Pare So Jane Wala Deep Bujha Kar Yadoon Ke
Raat Gaye Tak Jaag Raha Tha Pehli Pehli Barish Main

Jane Kia Kia Khawaab Bune The Pehle Sawan Main, Main Ne
Jane Us Par Kia Kia Likha Pehli Pehli Barish Main

Poem

Ab Wo Manzar, Na Wo Chehre Hi Nazar Ate Hain

Raqas Kia Kabhi Shor Machaya Pehli Pehli Barish Main





Ab Wo Manzar, Na Wo Chehra Hi Nazar Ate Hain
Mujh Ko Maloom Na Tha, Khawaab Main Mar Jate Hain
Jane Kis Haal Main Hum Hain Ke Hamen Dekh Ke Sab
Ek Pal Ke Liye Rukte Hain, Guzar Jate Hain

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz