Thursday 13 February 2014

Main Khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai

Main Khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai


Main Khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai
Sar-e-ayina mera aks hai, pas-e-ayina koi aur hai..

Main kisi ke dast-e-talab mein hon, to kisi ke harf-e-dowa mein hon
Main Naseeb Hon Kisi Aur Ka, Mujhe Mangta Koi Aur Hai..

Kabhi LauT Aayein To Na Pochna, Sirf Dekhna Bare Ghour Se
Jinhen Raste Mein Khabar howi, Ye Ye Rasata Koi Aur Hai..

Ajab Aitbar-o-Be-Aitbari Ke Darmiyan Hai Zindagi
Main Qareeb Hon Kisi Aur Ke, Mujhe Janta Koi Aur Hai.. 

Wahi Mun-si-foon Ki Rivayatein, Wahi Faisalon Ki Ibaratein
Mera Jurm To Koi Aur Tha, Par Meri Saza Koi Aur Hai..

Teri Roshni Mere Khad-o-Khal se muKhtalif to nahi magar
Tu Qareeb Aa Tujhe Dekh Lon, Tu Wahi Hai Ya Koi Aur Hai..

Jo Meri Riyazat-e-Neem-Shab Ko "Saleem" Subh Na Mil Saki
To Phir Is Ke Maani To Ye Huwe, Ke Yahan Khuda Koi Aur Hai.....

Saleem Kausar


Unknown

Its Posted By Salman Ali.

0 comments:

Post a Comment

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz