In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain
Ek sirf humi mai ko aankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain Lyrics
umrao jaan 1981
0 comments:
Post a Comment