Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Pyaar mein dube huye khat main jalata kaise
Tere haathon ke likhe khat main jalata kaise
Tune duniya ki nigahon se jo bach kar likhe
Saal ha saal mere naam baraabar likhe
Kabhi din mein toh kabhi raat ko uthkar likhe
Jinaka har lafz mujhe yaad tha paani ki tarah
Yaad the mujh ko jo paigaame Zubani ki tarah
Mujh ko pyaare the jo anmol nishaani ke tarah
Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Pyaar mein dube huye khat main jalata kaise
Tere haathon ke likhe khat main jalata kaise
Tere khat aaj main ganga mein baha Aya Hon
Aag behte huye paani mein laga aaya hoon
0 comments:
Post a Comment