Thursday 13 February 2014

Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho

Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 
Ae Jaan-e-Jahaan Ye Koi Tum Sa Hai Ke Tum Ho 

Yeh Khwaab Hai, Khushbo Hai Ke, Jhonka Hai ke, Pal Hai 
Yeh Dhund Hai, Baadal Hai, Ke Saayaa Hai, Ke Tum Ho 

Is Deed Ki Sahaat Main Kai Rang Hain Larzaan 
Mein Hoon Ke Koi Aur Hai Duniya Hai Ke Tum Ho 

Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhen Hain Ke Meri 
Dekhoon Yeh Kisi Aur Ka chehra Hai Ke Tum Ho 

Yeh Umr-e-Gurezaan Kahin Thehre To Yeh Jaanoon 
Har Saans Main Mujh Ko Yehi lagta Hai Ke Tum Ho 

Har Bazm Main Mauzoo-e-Sukhan Dil Zadgaan Ka 
Ab Koun Hai Shireen Hai Ke Laila Hai Ke Tum Ho 

Ek Dard Ka Phaila Howa Sahara Hai Ke Mein Hon 
Ek Mouj Main Aaya Howa Dariya Hai Ke Tum Ho 

Woh Waqt Na Aaiye Ke Dil-e-Zaar Bhi Soche 
is Shehar Main Tanha Koi Hum Sa Hai Ke Tum Ho 

Aabaad Hum Aashufta Saron Se Nahi Maqtal 
Yeh Rasm abhi Shehar Main Zinda Hai Ke Tum Ho 

Ae Jaan-e-"Faraz" itni Bhi Taufeeq Kise Thi 
Hum Ko Ghum-e-Hasti Bhi Gawaara Hai Ke Tum Ho 

Ahmad Faraz


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 
Ahmed Faraz

Unknown

Its Posted By Salman Ali.

0 comments:

Post a Comment

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz