Dil Yeh Bhi Chahta Hai Hijjraan Ke Mausamon Main
Dil ye bhi chahta hai ke hijjraan ke mausmon main
kuch qurbaton ki baten hum door paar bhejen
dil ye bhi chahta hai ke un pholoon se laboon ko
dast-e-saba pe rakh kar shabnam ka haar bheje
Dil yeh bhi chahta hai us jan-e-shairi ko
kuch shair apne chunn kar ek shahkaar bhejen
dil ye bhi chahta hai sb bhaid chahtoon ke
har muslehat bhula kar be-ikhtyar bhejen
dil yeh bhi chahta hai pardy main hum-sukhan ke
dewangi ki baten dewana war bhejen
dil ye bhi chahta hai jab be-asar ho sb kuch
tujh ko bana ke qasid ae yaad-e-yaar bhejen
dil ye bhi chahta hai ya chup ka zehar pee leen
ya phir daaman-o-greebaan hum tar tar bhejen
dil jo bhi chahta hon lekin "Faraz" socho
Hum tooq-e-ashhnaai kese utaar bhejen
0 comments:
Post a Comment