Saturday 8 February 2014

Dil Pe Heerat Ne Ajab Rung Jama Rakha Hai Hamd Naat

Hamd Naat

Dil Pe Heerat Ne Ajab Rung Jama Rakha Hai


Dil Pe Heerat Ne Ajab Rung Jama Rakha Hai
Ek Uljhi Howi TAsveer Bana Rakha Hai

Kuch Samajh Main Nahi Ata Ke Ye Chakar Kia Hai
Khel Kia Tum Ne Ye Azal Se Racha Rakha Hai

Rooh Ko Jism Ke Pinjre Ka Bana Kar Qaidi 
Is Pe Phir Mout Ka Pehra Betha Rakha Hai

Dee Kar Tadbeer Ke Punchi Ko Urane Tum Ne
Daam-e-Taqdeer Bhi Har Simt Bicha Rakha Hai

Kar Ke Araishen Koneen Ki Barson Tum Ne
Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai

Laa-Makani Ka Behar haal Hai Dawa Bhi Tumhen
Nuhno Aqarb Ka Bhi Peegam Suna Rakha Hai

Ye Burai, Wo Bhalai, Ye Jahanum Wo Bahesht,
Us Ulat Pheer Main Farmao To Kia Rakhha Hai

Jurm Admiyon Ne Kia Aur Saza Beeton ko
Adal-o-Insaaf Ka Meyaar Bhi Kia Rakha Hai

Dee Kar Insan Ko Dunya Main Khelafat Apni
Ek Tamasha Sa Zamane Main Bana Rakha Hai

Apni Pehchan Ki Khatir Banaya hai Sb Ko
Sab Ki Nazroo Se Magar Khud Ko Bhi Bacha Rakha Hai





Hamd-e-Bari Tala


Unknown

Its Posted By Salman Ali.

0 comments:

Post a Comment

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz