Justajoo jis ki thi us ko to naa paayaa hum ne
Justajoo jis ki thi us ko to naa paayaa hum ne
Is bahaane se magar dekh li duniyaan hum ne
Tuz ko rusawaa naa kiyaa, khud bhi pashemaan n huye
Ishk ki rasm ko, is tarah nibhaayaa hum ne
Kab mili thi, kahaa bichhadi thi, humei yaad nahi
Jindagi tuz ko to bas khwaab mein dekhaa hum ne
Aye adaa aaur sunaaye bhi to kyaa haal apanaa
Umar kaa lanbaa safar, tay kiyaa tanahaa hum ne
Justajoo jis ki thi us ko to naa paayaa hum ne Lyrics
umrao jaan 1981
0 comments:
Post a Comment