Friday 7 February 2014

Na Hota Aqal Ka Jhagra Na Hote Kher-o-Sharr Paida

Hafiz Basar

Na Hota Aqal Ka Jhagra Na Hote Kher-o-Sharr Paida
Agr Dunya Main Kar Deta Khuda Sare Hi Khurr Paida

Yaqeen Kese Na Aye Jins-e-Insaan Ke Badalne Ka 
Chunne Howe The MAin Ne Hogai Mattar Paida

Kabhi London Kabhi Bharat Kabhi America Ho Aon
Wazarat Do To Karlon Ga Khud Hi Asbab Paida

Biggar Ke MAin Ek Korri Ka Na Reh Jata MAin Bachpan MAin
Pettai Ko Na Hote Garr Mere Madir-e-Piddar Paida

Kitaaben Sar Par Rakh Kar Nachta Phirta Classon Main
Agar Hota Na Mere Sar Pe Zalim Master Paida

NAhi Shetaaniat Ka Ek Thekedar Sheetan Hi
Howe Hain Us KE Senkroon Chele Jin-o-Bashaar Paida

Puhanch Jata Naha Khanoo Main Bhi Chukpe Se Ye Urr Ke
Agar Insaan Ke Hojate Parindo Ke Se Par Paida

Meri Shaadi Karane MAin Sabhi Ahbaab Hain Koshaan
Magar Main Hon Gurezan Dil Main Hain Khof-o-Khattar Paida

Chuppa Kar Moun Nikal Jao Kahin Jungle Beyabaan MAin
Kamane Ka Jahan Jhanjhat Ho Na Bivi Ka Darr Paida

Kaha Nozaida Munna Dekha Kar Mujhe Bivi Ne
Barri Mushkil Se Hota Hai, Chamman Main Dedawar Paida

Janam Din Pe Mere Har Saal Matam Hota Rehta hai
Muharram Ki  Novii (9) Thi Jab Howa Tha Ye Basarr Paida

Hafeez Bassar 

Unknown

Its Posted By Salman Ali.

0 comments:

Post a Comment

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz