Saturday 8 February 2014

Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Aurat

Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe


Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe
Qalb-e-Mahool Mein Larzaann Sharar-e-Jang Hain Aj
Hously Waqt Ke Aur Zeest Ke Yak-rang Hain Aj
Aab-geenon Mein Tapaan Walwale-e-Sang Hain Aj
Hussn Aur Ishq Ham Aawaaz-o-Hum-ahang Hain Aj
Jis Mein Jalta hon Usi Aag Mein Jalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Zindagi jahd Mein hai, Sabar ke Qaboo meN nahiN
nabz e hasti ke lahu kaanpte aansoo Mein Nahin
Udne khule Mein Hai Nakhat, Kham-e-Gesoo Mein Nahin
Jannat Ek Aur Hai Jo Mard Ke Pahlu Mein Nahin
Us Ki Aazad Ravish Par Bhi Machalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Qadar Abtak Teri Tareekh Ne Jani Hi Nahin
tujh Mein Sholay Bhi Hain Bas Ashk Fashani Hi Nahin
Tu Haqeqat Bhi Hai Dilchasp Kahani Hi Nahin
Teri Hasti Bhi Hai Ek Cheez Jawani Hi Nahin
Apni Tareekh Ka Unwaan Badalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Todd Kar Rasm Ke But Band-e-Qadamat Se Nikal
zoof-e-Ishrat Se Nikal Vaham-e-Nazakat Se Nikal
Nafs Ke Kheenche Howe Halqa-e-Azmat Se Nikal
Qaid Ban Jaye Mohabbat To Mohabbat Se Nikal
Raah Ka Khaar Hi Kya Gul Bhi Kuchalna Hai Tujhe
 Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Todd Ye Aazm Shikan Silsila-e-Pand Bhi Todd
Teri Khatir Hai Jo Zanjeer Wo Saugand Bhi Todd
Tooq Ye Bhi Hai Zamma-rud Ka Gulu-Band Bhi Todd
Todd Paimana-e-Mardan-e-Khiradmand Bhi Todd
Ban Ke Tufaan Chalakna Hai Ubalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Tu Falatoon-o-Arastu Hai To Zohra Parveen
Tere Qabze Mein Hai Gardoon Teri Thokar Mein Zameen
Han Utha Jald Utha Paa-e-Muqadar Se Jabeen
Main Bhi Rukne Ka Nahin, Waqt Bhi Rukne Ka Nahin
Ladd-Khada-Yegi Kahan Tak Ke Sanbhalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe


Kaifi Azmi

Unknown

Its Posted By Salman Ali.

1 comments:

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz