Saturday 1 February 2014

Tu Ke Na Waqif-e-Adabe Shehanshai Thi

Tu Ke Na Waqif-e-Adabe Shehanshai Thi 


Tu Ke Na Waqif Hai Adab-e-Shehnshai Thi
Raqs Zanjeer Pehan Kar Bhi Kia Jata Hai

Tujh Ko Inkaar Ki Jurat Jo Howi To Kun Kar
Saya-e-Shah Main Istarah Jiya Jata Hai

Ahl-e-Sarwat Ki Yeh Tajveez Hai, Sar-Kash Larki
Tujh Ko Darbar Main Korron Se Nachaya Jai

Nachte Nachte Jo Hojai Payal Khamosh
Phir Na Ta-Zeest Tujhe Hosh Main Laya Jai

 Log Is Manzar Jankaah Ko Jab Dekhen Ge
Aur Barh Jai Ga Kuch Sitwat-e-Shahi Ka Jalal

Tere Anjam Se Har Shaks Ko Ibrat Hogi
Sar Uthane Ka Raaya Ko Na Aye Ga Khayal

Taba-e-Shahana Ye Jo Log Giraan Hote Hain
Haan..! inhen Zehar Bhara Jaam Diya Jata Hai

Tu Ke Na Waqif Hai Adab-e-Shehnshai Thi
Raqs Zanjeer Pehan Kar Bhi Kia Jata Hai

Habib Jalib

Unknown

Its Posted By Salman Ali.

0 comments:

Post a Comment

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz