Saturday 8 February 2014

Dasht e tanhai Mein

Dasht e tanhai Mein 



Dasht e tanhai Mein 
Aye Jaan e Jahan Larzaan Hai 
Teri Aawaz Ke Saaye 
Tere Honton Ke Seraab 

Dasht e  tanhai Mein 
Doori Ke Khas-o-khaak Taley
Khil Rahe Hain Tere Pehlu Ke Saman Aur Gulab 

Uth Rahi Hai Kahen Qurbat Se 
Teri Saans Ki Aanch 
Apni Khushboo Se Sulaghti Howe 
Maddham, Maddham... 
Door Ufaq Paar Chamakti Howi 
Qatra Qatra... 
Girr Rahi Hai Teri Dildaar Nazar Ki Shabnam 

Is Qadar Pyaar Se 
Aye Jaan e Jahan Rakkha Hai 
Dil Ke Rukhsaar Pe Is Waqt 
Teri Yaad Ne Hath 
Yunh Ghumaan Hota Hai 
Garje Hai Abhi Subh-e-firaaq 
Dhal Gaya Hijr Ka Din Aaa Bhi Gayi Wasl-ki-raat 

Unknown

Its Posted By Salman Ali.

0 comments:

Post a Comment

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz