Thursday, 13 February 2014

Kia Sarokar Hamen Ronaq-e-Bazar Ke Sath

Kia Sarokar Hamen Ronaq-e-Bazar Ke Sath


Kia Sarokar Hamen Ronaq-e-Bazar Ke Sath
Hum Alag Bethe Hain Dast-e-Hunar Asaar Ke Sath

Ae Mere Dost.!! Zara Dekh Main Hara To Nahi
Mera Sarr Bhi To Para Hai Meri Dastaar ke sath

Waqt Ye Khud Hi Batye Ga Ke Main Zinda Hon
Kab Wo Marta hai Jo Zinda Rahe Kirdar Ke Sath

Na Koi Khandaaan Balb Hai Na Koi Giryaa Konaan
Tera Dewana Para Hai Teri Dewaar Ke Sath

Chashme Numnaak Liye Seena Sadd Chaak Liye
Door Tak Hum Bhi Gaye Apne Khareedar Ke Sath

Koi Nuqtee Se Lagata Chala Jata Hai Faqat
Daiyree Khenchtaa Jata Hon Main Harkaar Ke Sath

Ranjish Kar-e-Zeyaan Dar-badrii Tanhai
Aur Dunya Bhi Khafa Tere Gunehgar Ke Sath

"Saad" Ruswai Zamana Hai Magar Tera Hai
Youn Nahi Hote Khafa Apne Giraftar Ke Sath

Saad


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho

Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 
Ae Jaan-e-Jahaan Ye Koi Tum Sa Hai Ke Tum Ho 

Yeh Khwaab Hai, Khushbo Hai Ke, Jhonka Hai ke, Pal Hai 
Yeh Dhund Hai, Baadal Hai, Ke Saayaa Hai, Ke Tum Ho 

Is Deed Ki Sahaat Main Kai Rang Hain Larzaan 
Mein Hoon Ke Koi Aur Hai Duniya Hai Ke Tum Ho 

Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhen Hain Ke Meri 
Dekhoon Yeh Kisi Aur Ka chehra Hai Ke Tum Ho 

Yeh Umr-e-Gurezaan Kahin Thehre To Yeh Jaanoon 
Har Saans Main Mujh Ko Yehi lagta Hai Ke Tum Ho 

Har Bazm Main Mauzoo-e-Sukhan Dil Zadgaan Ka 
Ab Koun Hai Shireen Hai Ke Laila Hai Ke Tum Ho 

Ek Dard Ka Phaila Howa Sahara Hai Ke Mein Hon 
Ek Mouj Main Aaya Howa Dariya Hai Ke Tum Ho 

Woh Waqt Na Aaiye Ke Dil-e-Zaar Bhi Soche 
is Shehar Main Tanha Koi Hum Sa Hai Ke Tum Ho 

Aabaad Hum Aashufta Saron Se Nahi Maqtal 
Yeh Rasm abhi Shehar Main Zinda Hai Ke Tum Ho 

Ae Jaan-e-"Faraz" itni Bhi Taufeeq Kise Thi 
Hum Ko Ghum-e-Hasti Bhi Gawaara Hai Ke Tum Ho 

Ahmad Faraz


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 
Ahmed Faraz

Ek Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon

Ek Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon


Ek Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon
Ek Melay Main Pohncha Hmakta Howa
Je Machalta Tha Ek Ek Shay Par Magar
Jaib Khali The Kuch Moal Lay Na Saka
Laut Aya Leay Hasratain Saink-roon
Ek Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon

Khair Mehroomion Ke Wo Din To Gaye
Aaj Mela Laga Hai Usi Shan Say
Aj Chahoon To Ek Ek Dukaan Mol Lon
Aj Chahoon To Sara Jahan Mol Lon
Naar-Sai Ka Ab Ji Main Dharka Kahan
Par Wo Chhota Sa, Alhar Sa Larka Kahan?

Ibn e Inshaa


Phire reh se wo yahan aate aate

Phire reh se wo yahan aate aate


Phire reh se wo yahan aate aate
Ajal Mar Gayi Tu Kahan aate aate

Mujhe Yad Karne Se Ye Mudd-aa Tha
Nikal Jaye Dum HichkiyaaN aate aate

Na Janaa Ke Duniya Se Jata Hai Koi
Bahut Dair Ki Meharbaan aate aate

Kalejaa Mere Munh Ko Ayega Ek Din
Yon Hi Lab Pe Aaho Fughaan aate aate

Sunane Ke Qaabil Jo Thi bat Unko
Wahi Rah Gayi Darmyaan aate aate

Daagh Dehlvi


Phire reh se wo yahan aate aate, Daagh Dehlvi Urdu Poetry, Daagh Dehlvi Urdu Shairi,

Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale

Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale


Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale
Ye Naale Nahi Be-asar Jaane Wale

Muhabbat Mein Hum To Jiye Hain Jiyenge
Wo Honge Koi Aur Mar Jaane Wale

Mere Dil Ki Be-tabiyaan Bhi Liye Jaa
Dabe Paaon Mounh Pher Kar Jaane Wale

Nahin Jaante Kuch, Ke Jaana Kahaan Hai
Chale Jaa Rahe Hain Magar Jaane Wale

Tere Ek Ishare Pe Sakit Khadde Hain
Nahi Keh Ke Sab Se Guzar Jaane Wale

Jo Jaage Subah Ko To Laddte Hain Mujh Se
Ke The Kon Tum Khowaab Me Aane Wale

Jigar Muradabadi


Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale
jigar muradabadi

Dil Ishq Mein Be-Payan, Sauda Ho Tu Aisa Ho

Dil Ishq Mein Be-Payan, Sauda Ho Tu Aisa Ho



Dil Ishq Mein Be-Payan, Sauda Ho Tu Aisa Ho
Dariya Ho Tu Aisa Ho, Sehra Ho Tu Aisa Ho..

Ham Sey Nahi Rishta Bhi , Hum Se Nahi Milta Bhi 
Hai PasS Wo Betha Bhi, Dhoka Ho Tu Aisa Ho ... 

Woh Bhi Raha Begana, Hum Ne Bhi Na Pehchana 
Han Ae Dil-E-Deewana , Apna Ho Tu Aisa Ho ... 

Hum Ne Yahi Manga Tha, Os Ne Yehi Bukhsha Hai
Banda Ho Tu Aisa Ho, Data Ho Tu Aisa Ho ... 

Is Daur Main Kya Kya Hai, Ruswaai Bhi Lazzat Bhi 
Kaanta Ho Tu Aisa Ho , Chubhta Ho Tu Aisa Ho ... 

Ae Qais-e-Janoon Paishaa Insha Ko Kabhi Dekha 
Wehshi Ho Tu Aisa Ho , Ruswaa Ho Tu Aisa Ho ....



Dil Ishq Mein Be-Payan, Sauda Ho Tu Aisa Ho
Ibn-e-Insha


Main Khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai

Main Khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai


Main Khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai
Sar-e-ayina mera aks hai, pas-e-ayina koi aur hai..

Main kisi ke dast-e-talab mein hon, to kisi ke harf-e-dowa mein hon
Main Naseeb Hon Kisi Aur Ka, Mujhe Mangta Koi Aur Hai..

Kabhi LauT Aayein To Na Pochna, Sirf Dekhna Bare Ghour Se
Jinhen Raste Mein Khabar howi, Ye Ye Rasata Koi Aur Hai..

Ajab Aitbar-o-Be-Aitbari Ke Darmiyan Hai Zindagi
Main Qareeb Hon Kisi Aur Ke, Mujhe Janta Koi Aur Hai.. 

Wahi Mun-si-foon Ki Rivayatein, Wahi Faisalon Ki Ibaratein
Mera Jurm To Koi Aur Tha, Par Meri Saza Koi Aur Hai..

Teri Roshni Mere Khad-o-Khal se muKhtalif to nahi magar
Tu Qareeb Aa Tujhe Dekh Lon, Tu Wahi Hai Ya Koi Aur Hai..

Jo Meri Riyazat-e-Neem-Shab Ko "Saleem" Subh Na Mil Saki
To Phir Is Ke Maani To Ye Huwe, Ke Yahan Khuda Koi Aur Hai.....

Saleem Kausar


 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz