Friday, 14 February 2014

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah...


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah...
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah...

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yoon Laga...
Pyassi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Badal Ki Tarah...

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga-uon Gaa...
Sar-e-Sham He Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah...

Mere He Dil Ka Makeen Nikla Wo Shakhs “Wasi”...
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah...


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Wasi Shah

Love Poetry Wasi Shah
Urdu Poetry Wasi Shah

Apne Hothon Par Sajana Chahta Hoon


Apne Hothon Par Sajana Chahta Hoon 


Apne Hothon Par Sajana Chahta Hoon
Aa Tujhe Mein Gun-Gunana Chahta Hon

Koi Aansoo Tere Daman Par Gira Kar
Boondh Ko Moti Banana Chahta Hon

Thak Gaya Mein Karte Karte Yaad Tujhko
Abh Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hon

Jo Bana Baa-yyes Meri Nakamiyon Ka
Mein Usi Ke Kaam Ana Chahta Hon

Chah Raha Hai Sari Basti Per Andhera
Roshni Ko Ghar Jalana Chahta Hon

Phool Se Paiker To Nikle Be-Murawat
Mein Pathron Ko Azmaana Chahta Hon

Akhri Hichhki Tere Zaano Pey Aaye
Maut Bhi Mein Shayiraana Chahta Hon

Reh Gayi Thi Kuch Kami Ruswaiyoon Mein
Phir "Qateel" Us Darr Pe Jana Chahta Hon


Qateel Shifai


Apne Hothon Par Sajana Chahta Hoon lyrics 

Qateel Shifai


Thursday, 13 February 2014

Ajab Khal-o-Khadd The

Ajab Khal-o-Khadd The


Ajab Khal-o-Khadd The
Sitara Si Ankhen
Sharara Se Labb
Aur Sahiffa Sa Chehra
Badan...Ek Chaman Sa
Chaal....Bad-e-Saba
Baat...Khushboo
Muhabbat....Buhat Gehri Asoodgi Fasl-e-Gull Ki
Magr Aaj Wo Khad-o-khaal Dekh Kar Sochtaa Hon
Ke Meri Basaarat Ko Paat Jharr Ki Tanhai Ne Kha Liya Hai 




Love Poetry, Romantic Nazam, Nazam, 

Kahin ISHQ ki Dekhi Ibtida

Kahin ISHQ ki Dekhi Ibtida



Kahin ISHQ ki Dekhi Ibtida
Kahin ISHQ ki Dekhi Intiha

Kahin ISHQ  Sooli pe Charh gya
Kahin ISHQ ka Nezy pe Sir gya

Kahin ISHQ Sajdy me gir gya
Kahin ISHQ Sajdy se phir gya

Kahin ISHQ Dars-e-wafa bana
Kahin ISHQ Husn-e-ada bana

Kahin ISHQ Ne Sanp se Daswa dia
Kahin ISHQ Ne Namaz ko Qaza kia

Kahin ISHQ Saif-e- Khuda bana
Kahin ISHQ Sher-e-Khuda bana

Kahin ISHQ Toor pe deedar hai
Kahin ISHQ Zibah ko tayar hai

Kahin ISHQ Ne behka dia
Kahin ISHQ Ne Shah-e-Misr bana dia

Kahin ISHQ Ankhon ka Noor hai
Kahin ISHQ Koh-e-Toor hai

Kahin ISHQ tu hi tu howa
kahin ISHQ ALLAH HOO howa....

Samandar Sary Sharab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty,

Samandar Sary Sharab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty


Samandar Sary Sharab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty
Gunah Na Hoty Sawab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty 

Kisi Ke DiL Mein Kya Chupa Hy Bus Khuda Hi Janta Hy 
DiL Agar Be-Naqab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty

Thi Khamoshi Fitrat Hamari Jo Chand Barson Bhi Nibh Gayi Hy 
Agar Hamary Moun Mein Jawab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty

Hum Achy Thay Par Sada Logon Ki Nazar Mein Bury Rahy
Kahen Hum Such Men Kharab Hoty Tu Socho Kitny Fasad Hoty.....


Romantic Poetry, Romantic Nazam, Urdu Poetry,

Kia Sarokar Hamen Ronaq-e-Bazar Ke Sath

Kia Sarokar Hamen Ronaq-e-Bazar Ke Sath


Kia Sarokar Hamen Ronaq-e-Bazar Ke Sath
Hum Alag Bethe Hain Dast-e-Hunar Asaar Ke Sath

Ae Mere Dost.!! Zara Dekh Main Hara To Nahi
Mera Sarr Bhi To Para Hai Meri Dastaar ke sath

Waqt Ye Khud Hi Batye Ga Ke Main Zinda Hon
Kab Wo Marta hai Jo Zinda Rahe Kirdar Ke Sath

Na Koi Khandaaan Balb Hai Na Koi Giryaa Konaan
Tera Dewana Para Hai Teri Dewaar Ke Sath

Chashme Numnaak Liye Seena Sadd Chaak Liye
Door Tak Hum Bhi Gaye Apne Khareedar Ke Sath

Koi Nuqtee Se Lagata Chala Jata Hai Faqat
Daiyree Khenchtaa Jata Hon Main Harkaar Ke Sath

Ranjish Kar-e-Zeyaan Dar-badrii Tanhai
Aur Dunya Bhi Khafa Tere Gunehgar Ke Sath

"Saad" Ruswai Zamana Hai Magar Tera Hai
Youn Nahi Hote Khafa Apne Giraftar Ke Sath

Saad


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho

Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 
Ae Jaan-e-Jahaan Ye Koi Tum Sa Hai Ke Tum Ho 

Yeh Khwaab Hai, Khushbo Hai Ke, Jhonka Hai ke, Pal Hai 
Yeh Dhund Hai, Baadal Hai, Ke Saayaa Hai, Ke Tum Ho 

Is Deed Ki Sahaat Main Kai Rang Hain Larzaan 
Mein Hoon Ke Koi Aur Hai Duniya Hai Ke Tum Ho 

Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhen Hain Ke Meri 
Dekhoon Yeh Kisi Aur Ka chehra Hai Ke Tum Ho 

Yeh Umr-e-Gurezaan Kahin Thehre To Yeh Jaanoon 
Har Saans Main Mujh Ko Yehi lagta Hai Ke Tum Ho 

Har Bazm Main Mauzoo-e-Sukhan Dil Zadgaan Ka 
Ab Koun Hai Shireen Hai Ke Laila Hai Ke Tum Ho 

Ek Dard Ka Phaila Howa Sahara Hai Ke Mein Hon 
Ek Mouj Main Aaya Howa Dariya Hai Ke Tum Ho 

Woh Waqt Na Aaiye Ke Dil-e-Zaar Bhi Soche 
is Shehar Main Tanha Koi Hum Sa Hai Ke Tum Ho 

Aabaad Hum Aashufta Saron Se Nahi Maqtal 
Yeh Rasm abhi Shehar Main Zinda Hai Ke Tum Ho 

Ae Jaan-e-"Faraz" itni Bhi Taufeeq Kise Thi 
Hum Ko Ghum-e-Hasti Bhi Gawaara Hai Ke Tum Ho 

Ahmad Faraz


Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho 
Ahmed Faraz

 

Copyright @ 2013 Poetry.

Designed by Blogger , Poetrymindz